Baba teri ummat ne
- Syed ali asghar abbas nasir (2018)
Baba Teri ummat nay haq cheen liya mera
Darbar bulaiya or Ghar Jaliya
Rotian jis dar say jatien thi Arsh peh ..(2)
Us dar ko jaliya ..(2) Baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay
Pehlay mara Mohsin ko phir Meray Ali a.s ko..(2)
Jeenay Na diya ..(2) baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay
Teer chala diye Janazay peh Hassan a.s kay ..(2)
Maiyat ko bhi na chora ..(2) Baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay
Jis k liye i thi ma lout k jannat say ..(2)
Us ko bhi louta ..(2) baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay
Shaam k bazar say Guzara Zainab ko..(2)
Chadar bhi lay li ..(2) baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay
Darbar ma Nasir phir aik bar ..(2)
Bulaiya Zahra ko ..(2) Baba Teri ummat nay
Haq cheen liya mera Baba Teri ummat nay