Ye bayn the zainab ke
- Muqarrib Raza (2018)
Ye Bain thay zainab ke aye Jane Jigar Amma,
Ab Hogayee khoshiyu'n ki Tareeke Seher Amma.
1) Gam bhool na paye thay Nana ki Judayee ka-2,
Kya phayrli tumne bhi Shafqath ki Nazar Amma.
Ye Bain thay--2
2) Ab koi nahi apna hamko jo tasilli de-2,
Ab Kaun yateemo ki leta hai qabar amma.
Ye Bain thay--2.
3) Jaye tu kaha'n Jaye har simth Andhera hai-2,
Phatta hai Jigar mera lo jald Qabar amma.
Ye Bain thay--2.
4) Kya uttgayee duniya se kaunain ki shehzadi-2,
Har shaad Madine me har Baniye shar amma.
Ye Bain thay--2.
5) Nana ki jo ummath ne kya ajr diya hamko-2,
Pehlu pe giraya hai jalta howa darr Amma.
Ye Bain thay--2.
6) Kya Noha sunaya hai, Tayeed-o-Muqarrib Ne-2 sab ehle aza rookar takraate hain sar amma.
Ye Bain thay zainab ke aye Jane Jigar Amma