Phir aaj mahe moharram ka chand nikla hai

- anjuman-e-janisaran-e-abbas (2016)


Phir aaj mahe moharram ka chand nikala hai Outho  hussain ke matam ka chand nikala hai   • bina e zikre shaheeda karo azadaro  • Dilo ka dard numaya karo azadaro • Azakado mein charaga karo azadaro • Phir apne chak gareban karo azadaro   • Phir aaj yaad e shah e tashna kaam taza karo • Wafa ka zikr shaheedon ke naam taza karo • Khuda ka hukm nabi ka payam taza karo • Ghum e hussain alaihisalam taza karo   • Wafa e zayghume hyder ki yaad taza karo • Bagah e tazim o akbar ki yaad taza karo • Aza e fidyaye asghar ki yaad taza karo • Rida e  zainab e muztar ki yaad taza karo   • Pyambar e dosara hai shareek e bazmein aza • Butool ayi  hai  lene hussain ka pursa • Ali hai shamil e matam hasan hai nouha sara • Phir aaj sarike muztar ho zikre ale aba