Kabal me kunba luta kar zainab madine chali

- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2015)


Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai Din e Mohammed bacha kar zainab madine chali hai   Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai   Bazar se woh guzarna darbar se woh guzarna Be maqna binte Ali ka chadar talab karte rehna Chadar talab karte rehna Parda bhi haq pe luta kar zainab madine chali hai   Pursa do shaahe umam ko shaahe zaman khasta tan ko Ibne Ali bekafan ko abbas o ibne hasan ko Abbas o ibne hasan ko Maqtal me kunba luta kar zainab madine chali hai   Hai be kajawa jamal sab kisko pukaregi zainab Sar par nahi koi juzrab kisko pukaregi zainab Kisko pukaregi zainab Sad maate sad gham utha kar zainab madine chali hai   Kohe alam chha gaya hai zindan e sham aa gaya hai Sajjad khu'n ro raha hai zindan e sham aa gaya hai Zindan e sham aa gaya hai Qabre sakina bana kar zainab madine chali hai   Aun o Mohammed ki babat shauhar ne puchha agar toh Sar ko jhuka kar kahegi be maqna kya apne sar ko Be maqna kya apne sar ko Bhai pe bachche luta kar zainab madine chali hai   Zainab yeh kaarnama kya bhool paye zamana Khud sham me jisne sheh ka farshe aza tha bichhaya Farshe aza tha bichhaya Jannat ka rasta dikha kar zainab madine chali hai   Shayad tasawwur me khoyi hai mustafa ki nawasi Kya dekhti hai ke sughra qabre sakina pe aayi Qabre sakina pe aayi Sughra se aankhe bachakar zainab madine chali hai   Boli yeh qabre jari par ro ro ke zahra ki dukhtar Main jaa rahi hu madine zimma sakina ka tumpar Zimma sakina ka tumpar Mil lena tum usse jaa kar zainab madine chali hai   Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai.....