Roke kehti hai ye zainab
- Sohail Zaidi (2018)
Roke kehti hai yeh zainab aye alamdar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
1. aye mere lakhte jigar noor e nazar tashnadahaañ
bayn karti h behañ khooñ bhi hai aankho se rawaañ
kaise ghazi maiñ karu tujhse sitam hai yeh bayaañ
zulm aulaad e payambar pe kare saara jahaañ
baad tere hain khade sab hi giraftaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
2. dekho dil pe yuñh badha zakhm e judaayi bhayya
ho gayi behna teri gham ki sataayi bhayya
hye bekas hua maqtal me hai bhai bhayya
lut gayi fatima zahra ki kamayi bhayya
yaad sarwar kare tujhko aye madadgaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
3. Khun me rangeen alam aaya tera khayme me
hogaya matam e abbas bapa khayme me
haye ek ghaiz sa kohram macha khayme me
sab ke lab pe thi faqat aaho buka khayme me
bhai me hogayi laachar aye ghamkhwar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
4. Qatl abbas ki goonji hai sada maqtal me
bhai se hogayi ek behna juda jangal me
toote hn kunbe pe sab zulm o sitam ek pal me
aate hn karne ko aada bhi sitam pal pal me
sunlo ab meri fugha sayyad o salaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
5. Chhin gayi sar se rida baade shahe wala jab
Phirti thi khayme ke sarhane tmhari zainab
Chhin gaye kaano se gaujar bhi sakina ke sab
Kehti thi khoye kahañ ammu bhi mere ya rab
hogi chadar bhi na sar pe sare bazaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
6. kehti hai bali sakina ke mujhe pyaas nahi
zulm zalim kare yawar bhi koi paas nahi
shimr khayega taras iski koi aas nahi
haye ab meri madad ke liye abbas nahi
laut ke aao tadapti hoon me dildaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
7. baad e abbas yahi kehte the sarwar rokar
aake samjhao ke ab maange ijazat akbar
khota hun aankh se beenayi mai tooti h qamar
aalam e sakht me kaise de ijazat yeh pidar
dekho sab chhut te hain bhai sabhi ansaar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere
8. ho chuka bekas o mazloom ka noha ye rakam
dekho 'sohail' kare girya yeh kirtaas o qalam
barpa hai shah ki majlis me jari ka matam
bibi bhi ashk bahati hain sare farshe gham
rone ko ghazi pe aaye hain azadar mere
laut ke aao bhi darya se wafadar mere