Ghazi ka sar

- Meesum Abbas (2019)


Yeh kaun log hain, Qafla kaha hain rawan Haseen chaand se chehre hain, kuch sina pe ayaan Inhi saron me se ek sar juda juda dekha Faras ke saath jo gardan me hain bandha dekha Haaye...   Gardan me rahwaar ki Ghazi ka sar bandha hain...(3) Naize pe sar Hussain ka kuch yu bhi ro raha hain Ghazi ka sar bandha hain Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain..(2)   (1) Naizon pe sabke sar hain, Ghazi ka sar kaha hain Bechain hain Sakina, Aayi labon pe jaan hain Ghash khaake gir gayi woh, Zaalim se jab suna hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi Ka sar bandha Hain...(2)   (2) Bepardagi pe nauha, aur ghairaton pe matam Sarwar ke sar se pucho yeh bekasi ka aalam Zainab ka sar khula hain, Aabid ka sar jhuka hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghaazi ka sar bandha hain..(2)   (3) Kaise bayaan karu main Abbas ke safar ko Ghode ke gaysuon se bandha Jari ke sar ko Rahwaar bhi safar me rota hua chala hain, Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)   (4) Kya haal kar diya hain Saadat ke saron ka Sar ko Shah e Huda ke, tandoor me hain rakha  Akbar ke sar ko haye, Sandooq me rakha hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha Hain...(2)   (5) Saidaniyon ke sar jab, mohtaaj hain rida ke Sar Ghazi bawafa ka naize pe kaise thehre Thehra na jo sina pe, toh yeh sitam hua hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)   (6) Abbas aur Sakina, qismat hain ek jaisi Naake ki pusht par hain bandhi gayi bhateeji Kamsin ka rassiyon me jakda hua gala hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)   (7) Salman aur Mesum, woh Bawafa dilawar Naize pe bhi na aya, Aaka ke woh baraabar Sultan e Karbala ka naize pe sar chala hain Ghazi ka sar bandha hain   Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)   Ghazi ka sar bandha hain..(2)