Mai rahib hoon

- Meesum Abbas (2020)


Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

1. Mai hu rahib hai maseeh mera qabila logo
mere aaqa mere sardaar hai isa logo
ek haqeeqat se uthata hu mai parda logo
mera hussain hai isa ka maseeha logo
imam e waqt ka mai intezaar karta hu
halab ke dehr mein lamhe shumaar karta hu
yaqeen hai ye mera, jab ayenge maula
mai unke qadmo mein gir kar sada lagaunga

tum pe maula mai fida jaan karu
apne beto ko mai qurbaan karu
mai hu najraan ka rahib

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

2. Suno ke tumko sunata hu waqeya aisa
meri hayaat mein aisa bhi waqt aaya tha
mai la walad tha aur ummeed na thi koi mujhe
huzoor paak ne ye baat khud kahi thi mujhe
lauh e mehfooz ki tehreer bhi sunayi mujhe
magar hussain ne us dum pisar diye the mujhe
ek nahi, saath nageene ataa kiye the mujhe
hai ye ehsaan bada, bhulau kaise bhala
ye baat unse kahunga ke farz hai ye mera

tum pe maula mai fida jaan karu
apne beto ko mai qurbaan karu
mai hu najraan ka rahib

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

3. Dafatan qafla ek shehr e halab mein pohcha
ya hussaina, ya hussaina se larazti thi fiza
neend se mujhko jaga kar meri zauja ne kaha
khwaab se jago ke phat-ta hai kaleja mera
kaun karta hai tadap kar girya
kaun kehta hai ye baba baba
khwab e ghaflat se utha, aur maine ye kaha
aisa lagta hai chale aaye mere ghar maula

tum pe maula mai fida jaan karu
apne beto ko mai qurbaan karu
mai hu najraan ka rahib

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

4. Sunke awaaz e jaise janib e dehleez gaya
meri aankho'n ko nazar aaya qayamat ka samaa
kya kahu maine ke in aankho'n se manzar dekha
be rida chand aseero ko khule sarr dekha
kitne suraj the jinhe nauke sina par dekha
maine ek chota sa sar dil ko pakad kar dekha
ek sar par nahi maujood rida
ek sar sharm o hayaa se hai jhuka
ek rahwaar ki gardan mein bandha
ek sar bar sare nauke naiza
dekh kar qafla mai aaho buka karta hu
peet ke sar ko mai zaar o qataar rota hu

mai hu najraan ka rahib
Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

5. Maine pehle bhi kahi dekhe hai aise chehre
aise noorani bashar to mubahile mein hi the
ya khuda naize pe jo sar hai ye wo log na ho
wo jo aulad e payambar hai ye wo log na ho
jinki tareef mein injeel mein bhi jumle hai
wo jo chahe to pahado'n ko hila sakte hai
yaqeen hai ye mera, jab aaenge maula
mai unke qadmo mein gir kar sada lagaunga

tum pe maula mai fida jaan karu
apne beto ko mai qurbaan karu
mai hu najraan ka rahib

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

6. Wo jo sar natiq e qur'aan nazar aata tha
do sitamgaro ka us sar pe laga tha pehra
darte darte jo mai nazdeek gaya
naiza bardaro se maine pucha
ye jo khoo'n rota hai sar, kya hai zehra ka pisar
pehra daro ne kaha, hai ye baghi ba khuda
hakim e shaam ne hai, ispe in'aam rakha
iske haami na bano tum rahib
iske haami ka hai marna wajib
mai pareshaan hua, aur ye kehne laga
ek shak hai mere dil mein zara puchu isse
ek lamhe ke liye baat mai kar lu isse
mujhe is sar se mila do, jitni qeemat hai laga do
ek shab ke liye sar se, apne pehre ko hata do
jab ijazat mili phir dil ko mere aaya qaraar
maine dirham bhi sipahi ko diye tees hazaar

mai hu najraan ka rahib
Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

7. Leke us sar ko jo mai ghar pohcha
maine us sar se kaha mujhko bata
batao kaun ho tum, batao kaun ho tum
mai ye bola ke tera jurm hai kya
wo ye bola ke Mohammad se wafa
mai ye bola ke tera naam hai kya
wo ye bola mujhe pehchaan zara
tera mehman hu mai, tera mehman hu mai
nibhane tifli ka wada..
leke sab apna mai kunbaa..
tere ghar aa gaya rahib
mai payambar ka jigar hu rahib
mai hi Zehra ka pisar hu rahib
jisne bete tujhe bakhshe wo sakhi hu rahib
ba khuda mai hi husain ibn e ali hu rahib
karbala mein jo sitam toote batata hu tujhe
apne beto ka bhi maqtal mai sunata hu tujhe
mere abid ko lahu rulwaya
haye baqir ka bachpana cheena
mere akbar ko hai naiza maara
mere qasim ko hai paamal kiya
sar kiye aun o mohammad ke juda
ye intehaa hai ke asghar pe rehem na khaaya
ya hussaina, ya hussaina, ya hussaina, ya hussain..(2)

mai hu najraan ka rahib
Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

8. Sun ke rahib ye baya'n thaam ke dil rone laga
aur aada ko sare shaah bhi wapas na kiya
ek ek karke kiye saato pisar sheh pe fida
arsalan aazmi, meesam hai wo maujood jagah
sar jaha'n maula hussain ibn e ali ka tha rakha
dar e rahib hai jaha'n, karna mehsoos waha'n
goonjti ab bhi fizao'n mein hai rahib ki sadaa

tum pe maula mai fida jaan karu
apne beto ko mai qurbaan karu
mai hu najraan ka rahib

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)