Baba ka hame aakhri deedar karado

- Baqari Brothers (2022)


baba ka hame aakhri deedar karado kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   1) is bekaso dukhiya ne giraftar e mehan ne bhaiya kabhi kuch manga nahi tumse behan ne ek bar khuda ke liye baba se milado   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   2) ji bhar ke abhi dekhlu chain ankho ko aye phir baap se taqdeer milaye na milaye kuch lamhay kafan chehraye baba se hata do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   3) sadme se kami ho na kahi noor e nazar mei hai dekhna naiza issay akbar ke jigar mei shabbir se baba ka zara zakhm chuppa do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   4) ghar se abhi baba ko mai jane nahi dungi bhaiya tumhe taboot uthane nahi dungi kab laut ke phir ayenge baba ye bata do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   5) ro ro ke sada deti hu phat'ta hai kaleja kya hogaya kya mujhse nahi bolte baba bhaiya meri janib se zara tum hi sada do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   6) ham dagh judaye ka liye qalb pa royen sun len meri fariyaad ko phir chain se soyen lillah zara der hi baba ko jaga do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   7) kyu dekh ke baba ki taraf rote ho bhaiya mai janti hun sar pay bhot zakhm hai ghera marham meri ashkon ka hi baba ko laga do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   8) dil fart e museebat se phata jata hai mera baba ki judayi ka na sah paungi sadma tum saath mei baba ki meri qabr bana do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado   9) mumkin hai hilal aaye ho awaz ali ki ashoor ki sham aunga milne tumhe beti hasnain ko taboot uthane ki riza do   baba ka hame aakhri deedar karado (x2) kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado.