Jawan bete seene mein hai sina

- Syed Raza Abbas Zaidi (2022)


Gire zameen pe maqtal mein jab ali akbar tadap ke khaime se nikle hussain thaame kamar chalu mai saath pukari jo zainab e muztar behen ke dekhke bhai ne ye kaha ro kar   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   1. Laee'n ne seene mein jab se sina ko toda hai mera ghareeb pisar dard se tadapta hai ragad raha hai wo maidaa'n me ediya'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   2. Wo jisko naazo se atthara saal pala hai meri hi god mein woh laal marne wala hai mai jab uthaunga wo lasha e jawa'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   3. Wo tumko dekhke royega khud ko samjhao hai uski aakhri saanse na saamne jao bohot rulayegi akbar ki hichkiya'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   4. Meri taraf bhi to dekho mai uska baba hu nazar bhi kam hai kamar kham hai, aur pyasa hu girunga raah mein jaane kaha'n kaha'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   5. Dua karo ke ye mushkil ka waqt tal jaye sukoon se mere bete ka dum nikal jaye na sun sakunga mai akbar ki siskiya'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   6. Wo baar baar madine ki simt dekhta hai sadaein deta hai sughra ko aur rota hai behen ki yaad mein uljhi hai uski jaa'n zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab Jawan bete ke seene mein..   7. Chale hussain ye zeeshan aur raza kehkar sina ke saath kaleja bhi aayega bahar hai baap bete ki ghurbat ka imteha zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab   Jawan bete ke seene mein hai sina zainab na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab