Dil Kahe Mola Hussain
- Ali Raza Irani (2023)
Ya Hussain Ya Hussain
Hussaino minni ki ye sada hai hussain jaisa koi nahi hai
yahi shareeat ka aaina hai yahi mohabbat ki inteha hai
Sare azadaro pe ye ahsan usi ka hai
daman me jo ishq shahe kaunain ko bakhsha hai
jo dil hai parwan chadha mola ki mohabbat se
ban ke lahu name sarwar us dil me dhadakta hai
ye dil kahe mera mola hussain
saanso pa hai tera pahra hussain
har soo hussaina ki sada dono jahan par hai chahi hui
ashke aza ke saath me meraj par hai meri bandagi
kausar ki aabru zamzam ki aabru
kabe ki hai sada hussain kubaku
insaniat ki baqa ke liye baiat na ki sar dia ya hussain
tu adl ka maiaar hai tu hi mohammad ka kirdar hai
tu hai shareeat ki zaban inkare deen tera inkar hai
deen ki pahchan hai roohe quraan hai
tujh se wabastagi aine imaan hai
usko yaqeenan khuda mil gaya jis shkhs ko tu mila ya hussain
hussain sa rahnuma jahan me koi nahi hoga
ye faisla ho gaya khuda ka kahin nahi hoga
hidayato ka charagh hai ye nabi ka aaina
jahan me raushan inhi ke dam se wafa ki hai dunia
jab se pade tere qadam karbobala aasman ban gai
is pe lahu tera baha ye khak rashke jinaa ban gai
tabibe be kasaan hakime nafse jaan
hai sooraj ki qadmo ka har nishan
sab arsh waale yahin hain makin jannat teri karbala ya hussain
teri shahadat ke sabab dunia ko raahe baqa mil gai
marna khuda ki raah me mitna nahi hai yahi zindagi
dunia me dekh lo ab kiska naam hai
raze haqqaniat kiska paigham hai
ahle sitam ka nishan tak nahin zinda hai teri wafa ya hussain
shujaaton ki misal ban kar jahan pe cha baithe
sitamgaron ki sitam zarifi ko aazma baithe
gala kataya bala ke ran me ali ke bete ne
tamam soye huye dilo ko magar jaga baithe
zalim ne ki baiat talab shabbir ne usko thukra dia
wo kaun the kya azm tha deke lahu sabko batla dia
sab zulm mit gaye zinda hai karbala
fathe shabbir hai azaano ki sada
phir koi baiat na mangi gai inkar tha tera aysa hussain
wo aashiqe shahe zaman baiat sitamgar ki karte nahi
haq ke liye dete hain jaan marte to hain phir bhi marte nahi
tera ye hai karam aye sultane umam
jhukne nahi dia deene haq ka alam
karbobala ki yahi hai sada har su ho haq ki zia ya hussain
deen ki jaan hussain mera imaan hussain
rabbe kaba ki qasam hai quraan hussain
shahe mardaan hussain shere yazdaan hussain
jahan jahan khuda waha wahan hussain
aye shahe karbala aye jaane mustafa
aye zahra ke pisar quwwate murtaza
tune sar de dia aur na uff kia
deene haq ke liye ghar bhi luta dia
karbal me wada wafa kar dia nana se jo tha kia ya hussain
tera karam be inteha teri ataa ki koi had nahi
jo bhi tere dar pe gaya hur kar dia aapne bilyaqeen
aye ibne murtaza sultane karbala
tu ba kamal hai jamale mustafa
sadiyon se dono jahan ke liye jari hai teri ataa ya hussain
ye karwane shahe deen haqqaniat ka bharam ban gaya
fathe hussaini ka nishan dekho jari ka alam ban gaya
jab ye lahraega sab ko bataega
fathe islam ki yaad dilayega
ahle sitam ka sitam thak gaya ayesa tera sabr tha ya hussain
mera aaqa hussain mera qibla hussain
sari dunia kahe meri dunia hussain
shane wafa hussain jane azaa hussain
deene islam ki tu hai baqaa hussian
waqre mustafa aye fakhre ambiya
aye zinate pidar sukune sayyada
shaheede karbala mazlume nainawa
tune raushan kia charaghe lailah
tu rab se razi hai tujh se khuda aye shae sabro raza ya hussain
deene khuda ki aas tu tujh par jami hai nigahe haram
tu hai waqare ambiya tu hi nuqushe wafa ka bharam
tu hi islam hai tu hi hai bandagi
tune ata kia deen ko zindagi
har ik sadi ki zarurat hai tu har marz ki hai dawa ya hussain
aye aashqane shahe deen duniaya se kah do wasimo raza
ye maatme shabbir hai har pairwane sitam ki qaza
ye ishqe gham nahi aik tufan hai
kuzaye chashm me shah ka rman hai
ye ashk karta hai har su bayan rudade karbobala ya hussain