Janaza Hai Ali Ka
- Syed Dayeem Raza (2023)
Hasnain ke kandho'n pa janaza hai Ali ka..
Sar peetlo taar Khoon me chehra hai Ali ka...
1) chaei huwi hai Charo taraf ghum ki ghataye
Ghumge'n hai Zamee'n aur hain alamnak fizaye'n
Hain noha kuna saqi-e-kausar me hawaye'n
Har simt Ali haye Ali ki hain sadaye'n
Honto'n pa falak walo ke..2 noha hai Ali ka...
Janaza hai Ali ka ....
2) qura'n pa lagi zarb bikharne lage soorhe
Mandlane lage chand sitaro'n pa andhere
Veeran huwe hai parindo'n ke baseere
Ghumlagaye hanste huwe phoolo'n ke ke bhi chehre
Ghum Kitna asar dar..2 khudaya hai Ali ka ...
Janza hai Ali ka..
3) doobe hain ghum-fatha-e-khaibar me do aalam
Nabio'n ke musalo'n pa bichi hai saafe matam
Roone ka falak walo'n me ek shoor hai paihem
Sar khole huwe aagaye hain mursal-e-azam
Har Koi Malak marsiya..2 pardhta hai Ali ka ..
Janaza hai Ali...
4) zehra ke yateemo pa qayamat huwi barpa
Phir chagaya ankho'n me yateemi ka andhera
Agoosh hai madar ki na baba ka hai Saya
De kon yateemo ko tasali o dilasa
Taboot bhare ghar se..2 nikalta hai Ali ka...
Janaza hai Ali ka..
5) Ummat ke liye mangata tha jis me duaye'n
Jam jati jaha'n atsh nashino ki nigahaye'n
Jis noor ki hoti thi falak par bhi shuwaye'n
Janat ki jise choomti thi aake hawaye'n
Matam Karo veeran wo..2 hujra hai Ali ka..
Janaza hai Ali ka...
6) hai ek taraf gnash me pardi zainab-e-kubra
Deewaro se takrati hai kulsoom Sar apna
Abbas ka dekha nahi Jata hai tadapna
Aati hai nazar khak udhati huwi fizza
Aye momeeno be asra..2 Kuba hai Ali ka..
Janaza hai Ali ka
7) kufe ke yateemo ke labo par hai ye noha
Wo kon tha jo roz hame aake khilata
Ye sun ke hassan bole Ali naam tha uska
Farzand hoon Mai uska jo datha tha tumhara
Ab zeere zamee'n dafn..2 janaza hai Ali ka ..
Janaza hai Ali ka ...
8) zahid huwa madfan jo imam e dosara ka
Dayeem utha har samt se ek Shor buka ka
Thar aayi zameen kanp utha arsh e maula
Kufa huwa sunsan laraz utha madina
Ghum khanye kaba bhi..2 manata hai Ali ka