Ab Tak Hai Zubaano Pe Alamdar

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2023)


Ab Tak hai zabanao pe alamdar alamdar
Abbas alamdar abbas alamdar

Kis shaan se baba ka alam tune uthaya
Mashikaza chida Laut ke Ghar tu nahi hai
Aye shere jawa aye pisare Haider e karar
Abbas alamdar abbas alamdar

Roze pe bulale hame ek baar alamdar

1.hasrat hai ke roze ko tere dekh le ek bar
Arman karo purae abbas e alamdar
Shako se siwa hai tera Darbar alamdar

2. Mashkiza chida Pani baha tooth gayi aas
Zindan me kehti hai sakina ki Teri pyaas
Shane bhi tere kate Gaye sheh ke wafadar

3. Nanhi si lehad me Teri maiyat pe hai tukde
Dafnaya tha sajjad ne aaqir tume kaise
Chalis baraas roiya hai beemar alamdar

4. Tha zaqm ajab sar pe tere burz gara ka
Sar aapka apne he lahun me tha nahaya
Sahil pe Qayamat ka huwa waar alamdar

5. Shabbir ke hamrah bohot aap ka gham tha
Jo qaime ko pauncha tha wo tho Khali Alam tha
Syedaniya ghash khati Thi har baar alamdar

6. The hath nahi zeen se kis tarha gire the
Ruqsar ke bal khaak pe aye moula padhe the
Rota Raha iss haal pe rehwar alamdar

7. Mazhar aur Mubarak se bayan aur ho kaise
Roti hai batool Aaj bhi turbat se lipat ke
Ham bhi ye Zara dekh le ek baar alamda