Ye farsh e aza hai

- Shabbir and Abbas Tejani (2022)


Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai......

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

1) Ghazi ki dua lo parcham ko uthakar,
Tum jaao yaha se doh ashk bahakar,
Aansu hi tumharay mehshar ki baqa hai.....

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

2) Azmat hai ye matam ulfat hai ye matam,
Nizbat hai ye matam saadat hai ye matam,
Is qalb me mere bas karbobala hai

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

3) aankho se nikalkar jo behtay hai aansu,
Rumaal me Zehra ke rehtay hai aansu,
Firdous hamari bas iski jaza hai,

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

4) hamsheer ka armaan shabbir ka matam,
Is gham me sabhi ki har aankh huwi num,
Ye farsh aza ka Har ghar me bicha hai

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

5) barpa huwi majlis jab farshay aza per,
Abid nazar aaye ghash me kahi(n) rokar,
Har jinn o bashar sab masroof e buka hai

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

6) kis ja pe ho Asghar kehti hai sakina,
Bechain tere bin rehti hai sakina,
Masnad pe aza ki behna ki sada....

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

7) shabbir ki Nusrat hai farshay aza me,
Mehsus ye hoga ho karbobala me
Ek teigh ke nichay Sarwar ka gala hai

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

8) Aey momino samjho azmat ye aza ki,
Karti hai jo shirkat zehra ki sawaari,
Haq me ye sabhi ke ek maa ki dua hai

Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai

9) Akbar tera noha sunkar mere moula,
Wo humko Tejani dikhlaengey rouza,
Khadim hu mai sheh ka rutba ye mila hai