Mahe Aza Lo Namodar Hua
- Mir Hasan Mir (2024)
Arsh k taare Hussain-2
Zahra k pyare Hussain-2
Tum ho hamare Hussain-2
Hum hain tumhare Hussain -3
Hussain...
Mahe aza...
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza-3
Jaano dile Fatima-2 badshahe karbala, ban gaya mehmaa'n mera-2
Ya Hussain-3 Hussain Hussain
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya Farshe aza
Falak pe phir se Muharram ka chand nikla hai
Hussain walo ne kaala libaas pehna hai
Kahi pe nauha kahi par sadae girya hai
Shaah alaika assalam-2
Ay mere bekas imam
Aap pe sab kuch fida-2
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza
Kisi k hath me Abbas ka alam hoga
Koi uthayega taboot ibne Zahra ka
Kahi se taziya jhula kahi se niklega
Hogi Qayamat bapa, royenge ahle aza, shor hai ashur ka-2
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza
Gali gali me sabeelo ka ehtemaam hai phir
Dilo ki pyas bujhane ka intezaam hai phir
Ghareebe Zahra ka jari labo pe naam hai phir
Aake sabeelo k paas, jo bhi bujhata hai pyas, deta hai dil se sada
Hussain
Mujrai jab k ayaa'n, mahe aza hota hai
Arsh pe matame shaahe shohada hota
Har anjuman me hai sina zani ki tayyari
Naye kalaam hain sab ki zubaan par jaari
Qadeemi tarz pe hoti hai phir Azadari
Taziye khane khule, matami Shane khule, hota hai matami bapa
Be abi anta wa ummi Ya Hussain -2
Kehta hai har dil yahi-2
Ho mere maa baap bhi, aap pe maula fida-2
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza
Tabarrukaat k sanduq laye jaate hain
Alam pe patke pharaire sajaye jaate hain
Sabeel lagti hain saqqe banaye jate hain
Leke shaheedo k naam, bant te hain Pani k jaam, dete hain pyase dua
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Haye hussaina-4
Karo Hussain ka matam Karo Azadari
Farat aankho se jari ho aise ashko ki
K Khali hath na jaaye rasool ki beti
Hath me rumaal hai, maa ka ajab haal hai, deti hain bibi dua-2
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza
Alam pe mashke sakina saja k rote hain
Kisi ko dhup me Pani pila k rote hain
Kabhi kisi ko tabarruk khila k rote hain
Naam idhar aagaya-2, sayyade mazlum ka, aankh se dariya baha-2
Ya Hussain-3 Hussain Hussain
Mahe aza lo namodar hua
Ghar me mere bich gaya farshe aza
Hue hain khalq takallum ham iss aza k liye
Hamari qaum k bache ghulam asghar k
Jawan sab ali akbar k naam par sadqe
Taaba zahure imam-2, royenge yeh khaso aam, wada hai iss qaum ka-2
(Ya Hussain-3 Hussain Hussain)-2
Bewatan Haaye hussaina
Be kafan Haye hussaina
Be khata Haye hussaina
Be nawa Haye hussaina
Haye hussaina