Maine Nana Tere Islam Ko Zinda Rakha

- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2022)


Main Mohammed ka nawasa hu hussain ibne ali,
meri maa fatima zehra mera baba hai ali...
mere nana ne madine me ye mimber se kaha,
hussain mujhse hai main hu hussain se ye kaha...
wahi nana ki wasiyat nibhane aaya hu,
main karbala main shariyat bachane aaya hu...
khuda ke deen ke sardar hai mere nana,
kul ambiao'n ke sardar hain mere nana,
maine sarkar me payaam ko zinda rakha,
maine quraan ke maqaam ko zinda rakha,
sajda e shukr ada karke sare maqtal mein,
maine nana tere islam ko zinda rakha...

Wada tifli mein kiya tha jo nibhaya maine,
aabru deene payamabar ki bachaya maine,
zakhm par zakhm kaleje pe hai khaaya maine,
lab pe nana koi shikwa nahi laaya maine,
deene islam ke maqsad ko bachane ke liye,
karbala mein tere paigham ko zinda rakha...

apne ansaar ki laasho ko uthaya maine,
gulshane fatima zehra bhi lutaya maine,
bhanje bete bhatijo ko gawaya maine,
hadd hai chhe maah ka asghar bhi lutaya maine,
maine awaaze ilahi ko bachane ke liye,
karbala mein tere paigham ko zinda rakha...

zohar e qain, ibne mazahir se sahare chhute,
qasim o aun o mohammed se dulhare chhute,
mere akbar mere abbas se pyaare chhute,
dekhte dekhte sab hum se humare chhute,
Zulm ke chehre se parde ko uthhane ke liye
karbala mein tere paigham ko zinda rakha...

tanha ashaab ke lasho ko uthaya maine,
tukde qasim hue ye ranj bhi paaya maine,
aankh se ashq nhi khoon bahaya maine,
dil ki har baat ko bas dil mein chhupaya maine,
parchame deene payamabar ko uthhane ke liye
karbala mein tere paigham ko zinda rakha...

Jod kar haath wo mehmaan hamara palta,
lashkar e kufr se hurr jaisa wo pyaara palta.
Chhod zulmat ka andhera wo ujala palta,
Jang ladne ke liye haqq ka jiyala palta,
Zulm ko zulm ki auqat batane ke liye
karbala mein tere paigham ko zinda rakha...

karbala walo ka gham jab bhi manayega ayaz,
Tujh pe allah bhi rehmat ko lutayega ayaz,
tu salamat rahe noha jo sunayega ayaz,
mere nouhe pe na kyu'n ashq bahayega ayaz,
Doobti kashtiye islam bachane ke liye
karbala mein tere paigham ko zinda rakha…