Suno Sada Aye Alamdar
- Syed Dayeem Raza (2023)
Ya ghazi alamdar-5
Bas humse razi shahe naamdaar ho jaye
Siva na hum pe gunaho,n ka baar ho jaye
Husain a s karke ziyarat Jo hum vatan aayen
Namaziyo,n main humara shumaar ho jaye
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi-2
Mujhe bhi sharf-e-ziyarat..2 karo aata ghazi...
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi...2
1)Hai dil me aas ke jageer e karbala dekhu'n
Waha'n pe sajde Mai tazeem ke aada karlu'n
Jo Sar zameen hai nabio ki..2 sajdahgah ghazi...
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
2)tere faqeer ki hasrat hai bus yahi maula
Najaf se karbobala mai karu'n mashi maula
Hoo arbaee'n me mera naam..2 bhi likha ghazi...
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
3)Sabeel Sab ko pilau'n mai jam bhar bhar kar
Jaha'n pe qatl huwa tashna lab ali asgher
Waha'n sagheer ka matam..2 karu'n bapa ghazi..2
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
4)karu'n Mai majliso matam bhicha ke farshe aza
Manau'n soog tera maula Mai laabe dariya
Jaha'n pe hogaye bazo..2 tere Juda ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
5)tu qarze ghaib se maqrooz ka Ada karde
Rihayi jald unhe maula tu ata karde
Huwe jo qaid hain be jurmo..2 be Khata ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
6)bahau'n ashk baname gule hasan qasim
Utar ke zeen se farwa ka gul badam qasim
Jaha'n bikhar Gaya tukdo me..2 jabaja ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
7)Bigad Gaye hain jo halat e zindagi maula
Zamane bhar me hoo phir amno aashni maula
Jaha'n ko baqsh de khushio ki..2 tu fiza ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
8)hai yaad Khoon me duba hussain ka sajda
Mai apni palko se chumo wo khak e karbobala
Hussaini Khoon se jo ban..2 gayi shifa ghazi...
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
9)qabool maao'n ki abbas ilteja karde
Tere alam pe jo paheli hain jholiya bharde
Wahi khuda ki hai jo hai..2 Teri Reza ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2
10)tere alam pe ye jawad mangata hai dua
Idhar hoo roza tumhara udhar shahe dee'n ka
Badan se sans ka rishta hoo..2 jab Juda ghazi..
Suno sada aaye alamdar e karbala ghazi..2