Ye izzatdar gharana hai

- Farhan (ALI WARIS) (2025)


Qul la as'alukum 'alayhi ajran illa al-mawaddata fil-qurba

Yeh izzatdaar gharana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Syed sardar gharana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Malika hain Khadija (s.a) is ghar ki
Malika hain Khadija (s.a) is ghar ki
Maalik Hasnain (a.s) ka Naana (s.a.w) hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Saari aayaat-e-Qurani
Is ghar ki shaan mein utri hain
Yeh paak Mohammad (s.a.w) ka ghar hai
Yahan Fatima Zahra (s.a) rehti hain

Aawaaz yahan neechi rakhna
Aawaaz yahan neechi rakhna
Allah ka yeh farmaana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Jo inka dushman hai us par
Allah bhi laanat karta hai
Is ghar mein rehne walon ka
Qur'an mein shajrah likha hai

Kaaba karta hai salaam usko
Kaaba karta hai salaam usko
Is baat ko jisne maana hai
Yeh izzatdaar gharana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Sardar farishton ka aakar
Is ghar mein jhulata hai jhoola
Haan takht aur taaj ko thukraakar
Aayi hain kaneezi mein Fizza (s.a)

Naukar jo bhi hai is ghar ka
Naukar jo bhi hai is ghar ka
Andaaz uska shahana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Khaali nahi jaata koi bhi
Sab ke daaman bhar jaate
Jab rotiyaan baanti hain Zahra (s.a)
Yahan aasmaan waale aate hain

Bat'taa hai tabarruk ki soorat
Bat'taa hai tabarruk ki soorat
Is ghar ka jo bhi khaana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Jis ghar par ho Ghazi (a.s) ka alam
Karti hain Fatima Zahra (s.a) karam
Hum log Hussaini hain chhat par
Kyun na lehrayein yeh parcham

Yeh alam lagaane ka maqsad
Yeh alam lagaane ka maqsad
Duniya ko yeh batlaana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Sadaqa yeh diya hai bachon ka
Bibi (s.a) ne apne naukar ko
Farhan inhi ki majlis ne
Zeeshan banaya hai ghar ko

Mera ghar koi aam nahi, is mein
Mera ghar koi aam nahi, is mein
Zahra (s.a) ka aana jaana hai
Yeh izzatdaar gharana hai

Izzat jo badi thi to
Museebat bhi badi thi
Jo ghar tha Mohammad (s.a.w) ka, wahan aag lagi thi

Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jis dar pe Nabi (s.a) karte the salaam
Us darwaaze ko jalaaya gaya
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Kaabe mein zuhoor hua jis ka
Masjid mein us ko qatl kiya
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Pehlou mein Nabi (s.a) ke jo tha pala
Wohi pehlou mein na dafn hua
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jise Khuld se kapde bheje gaye
Bekafan raha uska laasha
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Jo ghar Kauser ka maalik tha
Use dasht mein pyaasa maar diya
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Qaaim tha parda jin se unhein
Bazaar mein laaye be-parda
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Hai jin ke sadqe mein duniya
Hai un pe sadqa phenka gaya
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Aazaad karaaye jo qaidi
Haaye woh gharana qaid hua
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi

Yeh izzatdaar gharana hai
Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi