Aisa Mera Hussain (a.s)

- Farhan (ALI WARIS) (2025)


Hussain Hussain Ya Hussain - 2

Koi nahi
Koi nahi door tak koi nahi
Jaisa mera Hussain, waisa koi bhi nahi
Waisa koi bhi nahi

aisa Duniya mein koi hai na hoga - 2
Hussain wo badshah hai jo Mulkon pe nahi, dilon pe hukoomat karta hai

Hussain Hussain Ya Hussain - 4

Hussain hamara hai, jaan se bhi pyara hai
Aankhon ka taara hai, sabka sahaara hai
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Iske liye hi saari duniya bani hai
Jo isko maane, wahi panjetani hai
Har dil pe raaj iska, Sab kuch hai aaj iska - 2
Kehne waalon kaho, sunne waalon suno
Padhne waalon padho, likhne waalon likho
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Haq pe hai kaun, tune sabko bata diya
Naame Yazid ko gaali bana diya
Woh murdabad raha, tu zindabad raha - 2
Waada nibha gaya, sar ko kata gaya
Ghar ko luta gaya, zehno ko becha gaya
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Wo Sadi bhi thi gham-e-Hussain ki
Yeh sadi bhi hai gham-e-Hussain ki
Har sadi hai bas gham-e-Hussain ki

Maula se dil ka rishta kal bhi tha, aaj bhi hai
Iska parcham to ooncha kal bhi tha, aaj bhi hai
Har ghar pe maatam barpa kal bhi tha, aaj bhi hai
Har har lab pe iska noha kal bhi tha, aaj bhi hai
Qabza har dil pe iska kal bhi tha, aaj bhi hai

Aisa duniya mein koi hai na hoga - 2
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Har koi maane jise apna Imaam — Hussain
Saari zabaano pe hai ek hi naam — Hussain
Hindu, Muslim, Isaai — is dar pe bhai bhai - 2
Dharti ka raja hai, hum sabka Maula hai
Har koi kehta hai, har dil mein rehta hai
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Dil jaan, jaane jaana, jaaneman — Hussain jaan - 3

Hussaino minni wa ana menal Hussain
bole Nabi Mera chain hai ye, noor ayn 
mera savaar hai ye Dil ka qaraar hai ye - 2
Fatima iski maa, Baba kul-e-imaan
Aisa shajrah kahaan? Sun le saara jahan
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Khidmat azaa ki karta main aaya
Virsaa yahi Aulaad mein paaya 
majlis girya-o-Maatam karte rahenge har dam - 2
Mujhko hai ye sukoon, hai paak mera khoon
Main rahoon na rahoon, bolega ye junoon
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Zinda rahega, paayinda rahega, Maula Hussain ka naam - 2

Karb-o-bala ka saani koi nahi
Aake yahaan pe ye kahe, zayereen 
Hai paak sarzameen milta hai deen yahi - 2
Ye hai khaak-e-shifa, kehte hain anbiya
Banjar ye sehra tha — jannat bana diya
Jannat hai roza tera, jannat hai poori yeh karbobala 
Aye wallah - 3

Jannat Hai Karbala — Jannat hai Karbala - 3

Jaake dekho Arbaeen, manzar Ye dekha kahin hota hai aisa yahin, hai karodon zaaireen
Chhod aaye apna ghar, karte hain paidal safar
Har taraf hai sar hi sar, hai thakan se bekhabar
Sardi mein, garmi mein bhi, har safar mein har ghadi 
Din mein Shab mein har koi karta rehta hai mashee

Sabka ye daata hai, har dil ko bhaata hai
Dar pe bulaata, Rab se milata hai
Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain
Mera maula Hussain, aisa mera Hussain

Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2

Sad Alwida Hussaina - 4
Hussain... tera shukriya
BuLaaya tune Karbala
Dua hai ye Farhan ki — na ho ye ziarat aakhri
Tum apne Mazhar ko sada bulana Maula Karbala
Sad Alwida Hussaina - 4

Badshah-e-Karbala Alvida yabnaz zehra
Tishnalabe Nainawa — Alvida yabnaz zehra

Tere pursay ka Maula haq ada na ho saka
zawaron ki khidmat ka haq ada na ho saka
Phir dar pe bulwa lena — Alvida yabnaz zehra
Zavaari karwa dena — Alvida yabnaz zehra
Qubool karna pursa — Alvida yabnaz zehra
Ye maatam aur ye noha — Alvida yabnaz zehra
Dete hain tumko pursa — Alvida yabnaz zehra
Kehte hain ehle azaa — Alvida yabnaz zehra
Wawayla sad wawayla — Alvida yabnaz zehra - 2

Alwida Ya Hussain... Alwida Ya Hussain...