Labbaik Ya Abbas

- Ali Shanawar and Ali Jee (2025)


Abbas.. Abbas
Abbas.. Abbas
Labbaika Ya Abbas..

Aflak pukare.. Aflak pukare
Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas
Labbaika Ya Abbas..(2)
Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada
Labbaika Ya Abbas..(2)

Ya Abbas e Alamdar..(4)

1. Jaise hi mere lab par, Abbas ka naam aaya
Abbas ke parcham ka, mere sar pe hua saya
ek noor e wafa phaila, mere dil ne sukoo paya
noori nazarah hai Abbas
Haideri jalwa hai Abbas
dilbar e Zahra hai Abbas
saath hamesha hai Abbas
Labbaika Ya Abbas..(4)

Aflak pukare.. Aflak pukare
Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas
Labbaika Ya Abbas..(2)

Abbas.. Abbas.. (2)

2. Do sher hai duniya me, jiska na koi saani
ek shere khuda Haider, ek sher e Ali ghazi
mash'hoore zamana hai, dono ki alamdari
Ghazi Ali ka hai sarmaya
Ghazi Hussain ka hai saaya
Ghazi hai shere karbobala
Maula humara hai Abbas
Labbaika Ya Abbas..(4)

Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada
Labbaika Ya Abbas..(2)

Ya Abbas e Alamdar..(4)

3. Jab bhi ghum e duniya se, yeh dil mera ghabraya
Ghazi mere maula..
Jab bhi ghum e duniya se, yeh dil mera ghabraya
Mai apni duao'n mein, Abbas ko le aaya
yeh wasta Ghazi ka, mere kaam bada aaya
ghum ka madawa hai Ghazi
mera bharosa hai Ghazi
mera aqeeda hai Ghazi
Rab ka wasila hai Abbas
Labbaika Ya Abbas..(4)

Aflak pukare.. Aflak pukare
Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas
Labbaika Ya Abbas..(2)

Abbas.. Abbas.. (2)

Labbaik suno,
Abbas wafao'n ka paikar hai
Abbas jalal e Haider hai
Har dil mein dhadakta hai Ghazi
Abbas ka charcha ghar ghar hai

Jis din se alamdari ka sharaf
Shabbir se tumne paaya hai
Us din se lekar aaj talak
Labbaik, Labbaik humare lab par hai
Labbaika Ya Abbas..(4)

4. Jab karbobala maula, humko bhi bulaenge
Abbas ke roze par, labbaik pukarenge
hum saamne ghazi ke nauha yeh sunaenge
samne paak haram hoga
shah e wafa ka ghum hoga
zere alam matam hoga
waada humara hai Abbas
Labbaika Ya Abbas..(4)

Ashiqan e bawafa ki aa rahi hai yeh sada
Labbaika Ya Abbas..(2)

Ya Abbas e Alamdar..(4)

5. Jab sham e ghareeba mein, ghurbat ki ghata chayi
nauha tha yeh Zainab ka, Abbas mere bhai
jab chadar chinti thi, teri yaad bohot aayi
haaye wo Zainab ka nauha
aur tadapna Ghazi ka
ghum yeh tumhara aye maula
aaj bhi taaza hai Abbas
Labbaika Ya Abbas..(4)

Aflak pukare.. Aflak pukare
Hum sab hai tumhare.. Ya Abbas
Labbaika Ya Abbas..(2)

Abbas.. Abbas.. (2)

Labbaika Ya Abbas..(6)

Ashiqan e bawafa.. ki gunjti hai yeh sada
Labbaika Ya Abbas..