Har dam nara
- Ali Shanawar and Ali Jee (2025)
Ya Hussain, Ya Hussain
Jaha'n hairan hai
Jaha'n hairan hai
Jaha'n hairan hai, saara yeh kya hai
yeh kaisa soz o ghum ka silsila hai
yeh kiska ghum dilo par chhaa gaya hai
Hussain ibn e Ali woh badshah hai
har qadam
dil ki sada hai
har qadam
yeh har jagah hai
har qadam, har qadam, har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain salawatullah
Maula Maula Hussaina
Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Hussain... Hussain..
Wallah Wallah
Kya ishq e khuda hai wallah
yeh aap se hai jaana
kya raaz hai mar kar jeena
is raaz ko pehchana
hairan hai, qurban hai, is baat par hum ba khuda
jaan o dil tum par fida
Maula Maula hussaina
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain salawatullah
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain, Ya Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussaina
Hussain...
Ghum maula Hussain tumhara
mere dil ka sahara hai
ghum bhool gaye hum apna
ghum yaad tumhara hai
nauha padhein, matam karein, ghum yeh manaye rozana
matami ki hai sadaa
Maula Maula hussaina
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Hussain... Hussain..
Suno Maula...
Mere ghar mein tumhari baatein
mere ghar mein azakhana
mere ghar mein alam ghazi ka
karta hai sadaa saaya
yeh raunaqe, ye barkate, hai aapse shukr e khuda
Ya Hussain rahmatullah
Maula Maula Hussaina
Hussain..
Jab kahoge Ya Hussain
Jab sunoge Ya Hussain
dil ko miljaega chayn
Yehi sada e behrobar
yehi sada e khushk o tar
chalo chalo chalo karbala chalo..(2)
dar e hussain par yeh sadaein do
waha Khuda to hai
waha Khuda to hai, Mustafa bhi hai
Murtaza, Hasam, Fatima bhi hai
bawafa Abbas bhi hai
chalo chalo chalo karbala chalo
chalo chalo karbala chalo..(2)
Mere Maula...
Be chayn hai dil,
Be chayn hai dil mere Maula
mujhe paas bulaona
ek baar tumhi Ghazi ko
mera haal sunao na
kehna zara, yeh ilteja, puri kare shah e wafa
aana hai ab karbala
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain salawatullah
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain, Ya Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussaina
Haaye.. Karbala..
Woh karbobala, ashura
wo mashk o alam darya
Ya Hussain, Ya Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussaina
Haaye,
Woh karbobala, ashura
woh mashk o alam darya
woh Qasim o Akbar, Ghazi
jalta hua har khaima
aye karbala, tu hi bata, kya kya sitam sheh par hua
haye sakina ke baba
Maula Maula hussaina
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain salawatullah
Maula Maula Hussaina
Hum Haideri, Hum Fatemi, Hum karbalayi hai wallah
Har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina
Hussain... Hussain
Ya Mazloom.. Hussaina ..(4)
Mazloom e karbala
Mazloom e nainawa
har qadam har dum naara
Maula Maula Hussaina